Search This Blog

Wednesday, August 12, 2009

Dhaani

Song: Dhaani
Album: Dhaani
Band: Strings

*** Lyrics ***

Dhaani, re dhaani chunariya
Dhaani, re dhaani chunariya
Oode baadal ke saaye mein lehrayegi
Mujhe tadpayegi, chali jayegi
Jaise bijuriya mastani
Re jhauke ki surat mein chhu jayegi
Sharmayegi aur itrayegi
Jaise nadiya deewani
Dhaani, re dhaani chunariya
Haaye dhaani

Saaye mein uske barso ka jaaga
Mai so jaaun
Uski sajti savarti dhanak mein
Main ghar banau
Apne ghar mein kai chaand taare utaru sajau
Khushbuon se bhare raasto mein kho jaun
Oode baadal ke saaye mein lehrayegi
Mujhe tadpayegi, chali jayegi
Jaise bijuriya mastani
Dhaani, re dhaani chunariya
Haaye dhaani

Rang uske baarish mein dhul ke hai khilte
Aur nikharte
Roop uske zamino ke chehro se milte
Aur damakte
Uske andaz jaise hai mausam aate jaate
Uske sargam bhi haste haste jagmagate
kude baadal ke saiye may lehraye gi
Oode baadal ke saaye mein lehrayegi
Mujhe tadpayegi, chali jayegi
Jaise bijuriya mastani
Dhaani, re dhaani chunariya
Dhaani, re dhaani chunariya

Dhaani re

*** Video ***

No comments:

Post a Comment